Wednesday, June 19, 2013

World Of Words......: Ateet Ki Gehraayi Mein...

World Of Words......: Ateet Ki Gehraayi Mein...:

Ateet ki Gehraayi mein doob jaane ka aalam tha..
Ki ajnabi yaadon ka kaarwaan ek paigaam keh gaya..
Aur in aankhon se ek jaam beh gaya...!

Dhundli raahein hain... Manzil nahin hai...
Ek noor ka sahara tha.. jo ojhal sa khwaab reh gaya..
Aur in aankhon se ek jaam beh gaya..!

Zamaane ko badalne ka armaan liya karte the...
Aaj usi zamaane ko tarasta talabgaar reh gaya...
Aur in aankhon se ek jaam beh gaya..!

Door kisi duniya mein apna bhi naam-o-nisha hoga...
Aese hi sapnon ki duniya ka deedaar reh gaya...
Aur in aankhon se ek jaam beh gaya..!

Kehte hain farishte bhi sunte hain jab baat hoti hai..
Ek aahat ke intezaar mein ghar-baar dheh gaya...
Aur in aankhon se ek jaam beh gaya..
Aur in aankhon se ek jaam beh gaya..!

No comments:

Post a Comment